Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Khwajah Shareef Zandani

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ka ism e graami Hazrat Khwaja Haaji Sareef  Zandani Rahmatullah Alayh aur laqab Nair ud Deen tha. Aap Hazrat Khwaja Modood Chishti Rahmatullah  Alayh  ke khalifa thay. Hazrat Khwaja Haaji Sareef Zandani Rahmatullah  Alayh chodan saal ki umar se ba wazu rehne lagey thay aap hamesha puranay aur pewand shuda kapray pehantay thay. Aap ka roza bhi musalsal hota tha aur teen din ke baad baghair namak wali sabzi se roza aftaar karte thay .

Aik zaroorat mand shakhs jis ki saat betiyan theen. Gurbat o iflaas ki wajah se sakht pareshan tha aap ki khidmat mein haazir howa aur arz ki kay agar asp ki nigah e karam se mere rizaq mein kushadgi ho jaye aur mein baityon ke nikah se farigh ho jaon to tamam umar dua go rahon ga. Hazrat Khwaja Haaji Sareef  Zandani Rahmatullah Alayh  farmaya tum kal aana koi tadbeer sochen ge jis ke baad woh shakhs chla gya .

Jab woh shakhs wapas to usay rastay mein aik yahodi mila. Is ne poocha kay kahan se aaye ho, jis par is shakhs ne apni tamam kahani bayan ki. Yahodi ne is shakhs se kaha kay Haaji Sareef  Rahmatullah Alayh  to khud mohtaaj aur tangdast hain tumhari kya madad karen ge. Tum Hazrat Khwaja Haaji Sareef Zandani  Rahmatullah Alayh paas wapas jao aur meri taraf se kaho kay agar Hazrat Khwaja Haaji Sareef  Zandani Rahmatullah Alayh saat saal meri khidmat ka wada karen to mein aaj hi saat hazaar dinar dainay ko tayyar hon .

Yeh baat sun kar  woh shakhs dobarah Hazrat Khwaja Haaji Sareef Zandani Rahmatullah Alayh  ki khidmat mein haazir howa aur sara waqea sunaya. Hazrat Khwaja Haaji Sareef Zandani Rahmatullah Alayh ne suntay hi farmaya mujhe manzoor hai aur isi waqat uth kar is yahodi ke paas chalay gaye. Aur saat hazaar dinar us shakhs ko dilwa dye aur khud khidmat guzari par amaada ho gaye .

Jab badshah e waqat shenshah Sanjer ko is baat ki khabar ponchi to is ne Hazrat Khwaja Haaji Sareef Zandani Rahmatullah Alayh  ki khidmat mein saat hazaar dinar beje taakay aapYahodi ka qarza ada kar farigh ho jaien. Hazrat Khwaja Haaji Sareef  Zandani  Rahmatullah Alayh ne yeh saat hazaar dinar bhi ghareebon mein taqseem kar diye aur farmaya mein ne is yahodi ki saat sala nokari ka ehad kya hai aur ab mein is ehad se phir nahi sakta. Jab is yahodi ne Hazrat Khwaja Haaji Sareef Zandani Rahmatullah Alayh  ki yeh istiqamat dekhi to apna qarza foran maaf  kar diya aur musalman ho gaya. Asp ne farmaya tum ne mujhe azad kya hai Allah tumhe aatish e dozakh se azad kare ga. Yeh yahodi baad mein maqbolan e Khuda se ho gaya .

Safeena tul Aulia mein ne likha hai kay 1 shakhs ne wafaat ke baad shenshah Sanjer ko khawab mein dekha aur poocha kay Khuda ne tumharay sath kya maamla kya. Shenshah Sanjer ne kaha kay meri baabat firshton ko hukum diya gaya tha kay dozakh mein azaab ke liye le jayen. Isi isna mein phir hukum aaya kay falan din yeh Dimashq mein Hazrat Khwaja Haaji Sareef Zandani Rahmatullah Alayh  ki sohbat ki saadat se musharraf  howa tha is liye hum ne is ki barket se is ki bakhshish kar di .

Asp das Rajab al Marjab 612 Hijri ko is darfani se rukhsat hue. Asp ki umar is waqt taqreeban 120 baras ke qareeb thi .